Islamic Poetry in Urdu in 2 lines

Islamic Poetry in Urdu in Urdu

Main Kese Man Loon Ke Koi Mera Nahi Raha
Jab Tak Khuda Ki Zaat Hai Tanha Nahi Hoon Main

میں کیسے مان لوں کہ کوئی میرا نہیں رہا
جب تک خدا کی زات ہے تنہا نہیں ہوں میں

Tauba Ki Umeed Per Ho Chuke Bahut Gunaah Ya Rab,
Mohlat Toh Mil Rahi Hai Taufeeq Bhi Ataa Ker

توبہ کی اُمید پر ہوچکے بہت گناہ یارب
مہلت تو مل رہی ہے توفیق بھی عطا کر

Yahi Hai Aarzoo Taleem-e-Quran Aam Hojahe
Har Ak Parcham Se Ooncha Parcham-e-Islam Hojahe

یہی ہے آرزو تعلیم قرآن عام ہوجاھے
ہراک پرچم سے اونچا پرچم اسلام ہوجاھے

Tu Nay Chakhi Hai Faqat Gunahon Ki Lazzat !!
Tou Kya Janay Zikr-e-Ilahi Mein Hai Suroor Kitna

!! تو نے چکھی ہے فقط گناہوں کی لذّت
تو کیا جانے ذکر الہی میں ہے سرور کتنا

Sar Jhukane Se Namazain Ada Nahi Hoti
Dil Jhukana Parta Hai Ibadat Ke Liye

سر جھکانے سے نمازیں ادا نہیں ہوتی
دل جھکانا پڑتا ہے عبادت کے لئے

Islamic Poetry in Urdu 2 lines

Hum Roz Gunah Kerty Hain, Wo Chopata Ha Apni Rehmat Se
Hum Mjaboor Apni Adat Se, Woh Mashhoor Apni Rehmat Se

ہم روز گناہ کرتے ہیں، وہ چھپاتا ہے اپنی رحمت سے
ہم مجبور اپنی عادت سے، وہ مشہور اپنی رحمت سے

Meri Qismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Karde
Jo Mere Sare Gunahon Ka Madawa Karde

میری قسمت میں بھی ایسا کوئی سجدہ کردے
جو میرے سارے گناہوں کا مداوا کردے

Hai Nafs Ke Hathon Tou Majboor Kitna
Sab Jaan Ke Bhi Hai Aaj Lashaor Kitna

Jis Chehre Ne Hai Ek Din Mati Mein Mil Jana
Us Chehre Pah Hai Tujhe Ghuroor Kitna

ہے نفس کے ہاتھوں تو مجبور کتنا
سب جان کے بھی ہے آج لاشعور کتنا
جس چہرے نے ہے ایک دن مٹی میں مل جانا
اس چہرے پہ ہے تجھے غرور کتنا

Islamic Poetry in Urdu in 4 lines

Be-Zubanon Ko Jab Wo Zaban Deta Hai
Parhne Ko Phir Woh Quraan Deta Hai

Bakhshne Pe Aaye Jab Ummat Ke Gunahon Ko
Tohfe Mein Gunahgaron Ko Ramzan Deta Hai

بے زبانوں کو جب وہ زبان دیتا ہے
پڑھنے کو پھر وہ قرآن دیتا ہے

بخشنے پہ آئے جب امت کے گنا ہوں کو
تحفے میں گناہگاروں کو رمضان دیتا ہے

Khuda Se Mang Jo Kuch Maangna Hai Akbar
Yehi Wo Dar Hai Ke Zillat Nahi Sawal Ke Bad

خدا سے مانگ جو کچھ مانگنا ہے اکبر
یہی وہ دربار ہے کہ زلت نہیں سوال کے بعد

Lazzat-e-Gunah Ki Khatir Jis Ne Haar Di Thi Jannat
Meri Ragoon Main Bhi Tu Ussi Aadam Ka Khoon Hai

لزتِ گناہ کی خاطر جس نے ہار دی تھی جنت
میری رگوں میں بھی اُسی آدم کا خون ہے

Islamic Poetry in Urdu

Talash Ilam Tou Pahunch Gaya Kahan Se Kahan Tak Jahan Mein
Bata Tou Sahi Woh Konsa Sabaq Hai Jo Khuda Ne Nahi Diya Quran Mein

تلاش علم تو پہنچ گیا کہاں سے کہاں تک جہاں میں
بتا تو سہی وہ کونسا سبق ہے جو خدا نے نہیں دیا قرآن میں

Humein Aati Hai Museebat To Allah Yaad Aata Hai
Warna To Kabhi Sar Sajde Mein Hum Rakhte Nahi

ہمیں آتی ہے مصیبت تو الله یاد آتا ہے
ورنہ تو کبھی سر سجدے میں ہم رکھتے نہیں

Khuda Jis Ki Hifazat Ki Haya Thaan Leta Hai
Tou Phir Makri Ke Jalon Ki Woh Chadar Taan Deta Hai

Agar Woh Zindagi Likh De Tou Samandar Rah De Dega
Agar Woh Mout Likh De Tou Machar Jaan Leta Hai

خدا جسکی حفاظت کی حیا ٹھان لیتا ہے
تو پھر مکڑی کے جالوں کی وہ چادر تان لیتا ہے
اگر وہ زندگی لکھ دے تو سمندر راہ دے دیگا
اگر وہ موت لکھ دے تو مچھر جان لیتا ہے

All Types of Shayari

4 thoughts on “Islamic Poetry in Urdu in 2 lines”

  1. Pingback: Namaz Shayari in Hindi - Islamic Shayari

  2. Pingback: Shab e Barat Shayari in Hindi | शबे बरात कब है? - Dua, Islamic Shayari & Naat Lyrics

  3. Pingback: Shab e Barat ki Namaz ka Tarika || Shab e Barat ki Dua - Dua, Islamic Shayari & Naat Lyrics

  4. Pingback: Namaz Islamic Shayari in Hindi - Dua, Islamic Shayari & Naat Lyrics

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top